Welcome to my poems pages!!!

 

         The Pakistani National Anthem

Pak sarzamin shad bad
Kishware haseen shad bad
Tunishane azmealishan arze Pakistan
Markazeyaqin shadbad.

Pak sarzamin ka nizam quwate akhuwati awam
Qaum, mulk, Sultanat
Painda ta binda bad shad, bad man zele murad.

Parchame sitarao hilat
Rahbare tarraqio ka mal
Tarjumane mazishane hal jane istaqbal
Sayyai, khudae zul jalal.

Here is the translation in English

Blessed be the sacred land,
Happy be the bounteous realm,
Symbol of high resolve, Land of Pakistan.
Blessed be thou citadel of faith.
The Order of this Sacred Land
Is the might of the brotherhood of the people.
May the nation, the country, and the State
Shine in glory everlasting.
Blessed be the goal of our ambition.
This flag of the Crescent and the Star
Leads the way to progress and perfection,
Interpreter of our past, glory of our present,
Inspiration of our future,
Symbol of Almighty's protection.

A Poem on Pakistan

Pakistan humari jaan,
Sab sey pehley Pakistan
Tu jeeway Watan
Tu man mera tan
Tu jeeway Watan
Pakistan zindabad
Zara zor sey bolo Pakistan
Zara mil kar bolo Pakistan
Zara pyaar sey bolo Pakistan !!

Phoolon Mein Khushboo Hai
Is Dil Mein sirf Ek Tu Hai

Tum Chand Ho To Meri Zindagi Ki Roshni...
Tum Jhal Ho To Mere Jheene Ki Waje..
Tum Sapna Ho To Sirf Mere Waaste
Tum Tum Ho To Tum Hi Raho,

Naa Chaand mai, naa Sitaron mai,
Naa hi Kudrat ke Nazaaron mai,
Maine Ussko dhoond liya iss Dil ki Baharon mai!!

Raste Main Gire Hain Phool,
Uthata Hai Koi Koi,
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi..

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti,
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti..

Wo paas rahen ya door rahen nazron mein samaye rahte hain,
itna to bata de koi hamen kya pyar isi ko kahte hain..
milne ki ghariyan choti hain aur raat judai ki lambi,
jab saari duniya soti hai hum tare ginte rahte hain..

Dil Kay Rishtay Ajeeb Hotay Hain,
Koi Koi Dil Kay Kareeb Hotay Hain,
Meri Tanhai Ka Zikar Na Kiya Kar,
Apne Apne Naseeb Hotay Hain

Kuch Or Toh Khuda Se Nahi Chahtay Hain Hum,
Tumse Juda Na Hon Buss Yeh Dua Mangtain Hain Hum

Humhein iskaa gum nahi ke badal gaya hai zamana,
Humari zindagi tumse hai. tumnaa badal jana!!!!
Khush raho door rahane vale hum door badhe hain
Milne ki tammanna hai magar majboor badde hain..

Tera hi naam le ke jiya karte hain,
Tera hi jahrabe-hijr piya karte hain,
Din-raat tujko yaad karke roya karte hain hum,
Phir bhi tujse hi muhobbat kiya karte hain hum.

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai,
Qasur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai..

Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se Kum,
Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse..
Sanam Ab Chahe Parain Ishq Main Jitne Sitam,
Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho Ghum..
Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki Kasam,

Her lamha teri chaah hai
Her pal ko teri aarzoo hai
Her dharkan main teri yaad hai
Aur her zarrre ko teri hee pyaas hai

Sata Sata Ke Hamen Ashkbaar Karti Hain,
Tumhari Yaad Bahut Beqarar Karti Hai..
Woh Din Jo Saath Guzare The Pyaar Mein Humne,
Talash Unko Nazar Baar Baar Karti Hai..

Tairna Hai To Paani Main Aao,
Kinare Pe Kya Rakha Hai,
Ishq Karna Hai To Bahoan main aoo,
Isharo main Kya Rakha Hai..

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha..
Agar tamanna thi aazmane ki..
Hum to behust youn hi ho jaate..
Kya zaroorat thi muskurane ki..

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay

Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaya

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mere, Tasavver Na Chorna

Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain,
Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain,
Tumhain Kya Malum

Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain,
Tumhain Kya Maalum

Teri Judaai Se Hai Duniya Ka Her Ghum
Yaadain Teri, Mere Dil Ka Mur-Hum
Khyalon Main Ho Tum Mere Her Dum
Bus Jao Aaa Ke Dil Main Aye Hum Dum

Nazar to mila sake par zubaan ko hila na sake,
Laakh chaaha humne phir bhi hum tumko bhula na sake.

Pyaar ek ibaadat hai ise badnaam mat karna,
Tum pyaar chahe jisse bhi karna,
Par kabhi usme mazaak mat karna.

Dil diya jaan ki had thi,
Jaan di etbaar ki had thi,
Mar gaye par khuli rahi aanken,
Yeh tere intezaar ki had thi...

Voh meri muskurahat par nisar ho gaye,
Hum bhi to unke liye bekrar ho gaye,
humne to kar liya pyar unse,
voh the kisi or ka pyar ho gaye.

Ae khuda,mere sanam ko meri zindagi de dena,
Koi gham nahi,use meri khushiyan de dena,
Zindagi bane uski khoobsurat
Aisa koi usko saathi de dena.

Pyar nahin karna tha humse,
dillagi to na ki hoti,
ae bewafa beech samundar mein lakar mara,
ek kashti to di hoti.

Door tak jahan bhi nazar jati hai,
Gam ki parchayian nazar aati hai.
Meri dil ke aaine ke har tukde mein
Teri tasvir nazar aati hai

Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain.

Mai tujhe kaise bhool jaaoon sanam tu hi bataa,
pyar karna tujhe meri koi khata to nahi,
teri har yaad aaj bhi dil main hai taazaa,
tu mujhe bhool bhi jaaye to gum nahi mujhko,
bhool jaana tujhe ab mere bus ki baat nahi.

Baago me phool to bahut hai,
Par aap jaisa koi nahi.
Duniya me khoobsoorat to bahut hai,
Par aap jaisa koi nahi!

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Aur ab to yeh aaalam hai mere hum-nasheen
Ke tu nahi to duniya main kuch bhi nahi
sonch kar bhi tujhe na haseel karne ka gumaan
Is dil ko dharakne ki aaarzoo bhi nahi........

Four five six, soda lime mix,
If you are my best friend, give me a kiss!

setstats 1